Hiran Minar sheikupura se taqreeban 3 mile ke faslay par hai jo Jahangir badshah ne apne aik paltu hiran ki yaad ke toor par banaya tha. Kehtay hain ke woh hiran badshah ne bare shooq se pala tha, lihaza us ke marnay ke baad badshah ne ye minar tameer karnay ka hukam jari kiya. Puranay zamanay main minar ke ird gird wasi bagh tha aur ja baja fawaray (fountains) thay jo ab waqt guzarnay ke sath sath khatam ho gaye hain. Khuch fawaron ke asar aur minar apni asal shakal main aaj bhi qaim hain. Sayahon (tourists) ke liye ye aik dilchasp resort hai aur log mukhtalif alaqon se yahan tafreh aur sair karnay ke liye atay hain.
Hiran Minar Photo
Hiran Minar ke tower ki lambai 100 foot tak hai aur is minar par pohanchnay ke liye 108 sirhiyan charhni parhti hain par ab is mugliya door ki banayi hoi haseen sair gah ki sirhiyon ka rasta tourists ke liye band kar diya gaya hai. Ye jagah picnic mananay ke liye aik intihai dilfareeb jagah hain. Yahan par aik khubsurat bagh bhi mojod hai jis main ghanay saya daar darakht ki tehniyan youn dikhayi deti hain jesay beetay howe kal ki yadain khud main samaye lehra rahi hon.How To Reach Hiran Minar:
Lahore ke shumal maghrabi alaqay se is jagah ka fasla 44km hai. Public transport ke zariye yahan par pohanchnay main 1 hour ke kareeb lagta hai aur agar apni convense ho tou phir 45 min rasta hai.